Farishtoon se behter hey insaan banna
Laikin Es main lagti mehnat ziada
-------------------------------------
Huner jo talab-e-zarr ho huner nehin rehta
Mehal sra main kabhi kooza gar nehin rehta
Baray logon se milney main hmaisha faslah rakhna
Keh jahan darya samundar se miley darya nehin rehta
---------------------------------------------------
Safar tou zindagi ka bakhsha too ney, aey bakhshaney waley
Ub yeh bhi bata daina manzil hey kahan meri……..
Gar too chahey k duniya main naam paida ho
Tamanna too na kr, teri tamanna kiya kary koe
(Tahir)
----------------------------------------------------
Bey amal dil ho to jazbat se kaya hota he
Dharti banjar ho to barsat se kaya hota hey
Amal zrozi hey takmeel-e-tamanna k liye
Warna rangeen khayalat se kaya hota hey?
------------------------------------------------------
Yeh aur baat k minber pey aa k kuchh na kehain
Khamosh log balaa k khateeb hotey hain
Jinhon ka ishq sadiq ho woh kub faryad krtey hain
Labon peh mohar-e-khamoshi dilon main yaad krtey hain
-----------------------------------------------------
Tum ney do char ghari beth kr dukh sukkh bantey
Mujh pr tumhara yeh ehsan sada rehna hey
Tum bhi zamaney ki bheer main kehin kho jao gey
Mujhey bhi waqt ki lehron main kehin behna hey
-----------------------------------------------------
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
I am looking for the English translation of the words Kaya Hota Hey. Would you please post the meaning
ReplyDeleteThank You