chalo ham hii pehal kar dein

chalo ham hii pehal kar dein ke ham se bad guman kyoun ho?
koi rishta zara si zid ki khatir raigaan kyoun ho?

sawaal aakhir ye ek din dekhna ham hi uthaeinge
na ho jisko zameen ka gham woh apna aasman kyoun ho?

mein zinda hoon to is zinda zameeeri ki badaulat hii
jo bole tere lehje me bhala meri zabaan kyoun ho?

hamari guftugu ki aur bhi simtein bohot sii hein
kisi ka dil dukhaane hii ko phir apni zabaan kyoun ho?

bikhar kar reh gaya hamse piyar ka khwaab hii warna
diye is ghar me roshan hon to us ghar me dhuwan kyoun ho?

No comments:

Post a Comment